Saturday, 6 October 2012

parchaiyaan....



muhabaat, badle hue andaaz se lipti rahi

kuch parai si hui hai, ye gumaan deti rahi

khud ke pardon ki taho main khud ko simtaye rahe

saath ho iss pyar ka ehsaas barmaaye rahe



ladkadahat umrbhar ke raaste jab dans gayi

haosalon ki zidd aankh tak pahunchi tabhi

wo tapaki, dil ko raakh kar aag ban jalti rahi

zindagi, jeene ke bas ek khwaab main jeeti rahi



jhooth kya tha, jhooth kya hai, parde main sab simta liya

main kaun hoon, ye poochne ka haq kahin bikhra diya

khud ko tumhi main kho chuki ab sach ko pehchanoon kahan

tumne to har pehchan aur sach ko hi ab thukra diya...



youn bhatak kar bhi tumhari aas baaki hai kahin


tumne jo di thi mujhe wo pyas baaki hai kahin

jism ki sangat nahi, har saans ka sur taal hai


ek yahi aadhaar hai, aur yahi saaransh hai.